Zaida Qurb
Zaida hai ke zyada??
zaida qurub kya hota hai plz explain???
Naya Saal Mubarak ho
Umid karti hon Is Saal B App Sub Aise he Apni Mohabbatian SD ke Sath
or Mohabbat Kadah K sath rakhey gai InshAllah
Is Month ap ko Aik Shair diya jaraha hai..app is shair ko kis Zaviye se dekhte hian ya youn keh lain ke is Shair se Itefaq kartey hain ya Ikhtilaf.
~Zyada Qurb Main Palta Hai Dorioun Ka Azaab
Muhabbat k Liye Fasla Zarori Hai..~
Janab yeh hai Shair App Apne Nadir Khayalat Ka Izhar kijeye Mohabbat ki Roshni main zaida mushkil tu nahi hiana agar hai tu Paras ko marna us ne bataya hia yeh Competition
Rules :
1 ... Aik member aik he bar Share Karsakta hai.
2 ... Aik jaisa mat share kijeye ga.
3 ... Comp ki last Date 21 Jan hai.
Zaida Qurb
Zaida hai ke zyada??
zaida qurub kya hota hai plz explain???
Alhamdullilah
jozayda matlab bhot zayda us ne chawal bana liye.
agar pora shair parha jata ghor se tu aisa nahi hota
aik word agey peche spelling hojaye tu koi masla nahi hota
khair no bahes.
Walikum Salam
main is poetry sa bilkul agreed hon.
ye such hai insan jitna door ho ga utna he kisi apny ki muhabbat ka ahsas ho ga.
zyda daar kisi k qareeb raho tu hum wo pyar mahsos nahi karty usy rooz ki roteen
sahmj kar ignore kar dety hain.
kisi ki feelings ka ahsas door rahny sa he pata chalta hai.
(as I miss my Family so much)
Yeh theek hai muhabbat mein kabhi kabhi itni nazdeekiyaan bhi azaab banne lagti hain..mohabbat apna asal rang khone lagti hai..
mohabbat mein kabhi kabhi dooriyon ko ane dena chahiye ..faslon ko rah mein hone dena chahiye..kyun ke judayi ka dard..
mohabbat ki kasak ko barhata hai..mohabbat mein dard milta hai tu mohabbat sawaa ho jati hain..woh dhalti nahiin amar ho jati hai..
aur mohabbat mein dooriyon ke baad ka milna bhut haseen hota hai..aisa lagta hai jese chahaar taraf bahaaragayi hon..man hi man mein khushiyon ke phool khilte hain...
mohabbat mein fasle dil mein yeh ehsaas jagate hain ke koi apke liye kitna ahem hai..koi hai ke jis ke bina aap kuch nahiin..aur yehi ehsaas mohabbat ko dugna kar deta hai werna...
~Zyada Qurb Main Palta Hai Doriyon Ka Azaab
Muhabbat ke Liye Fasla Zarori Hai..~
Last edited by мιѕнααℓ; 02-01-2011 at 05:32 PM.
Alhamdullilah
kisi dramay ka dialogue suna tha main nay......
k paas rehnay say mohabbat kam nhi hoti bal k qader km ho jati hy.........
jab tak insan k pas koi cheeze nhi hoti wo os ko hasil kernay k liye terapta hy kabhi kabhi apni jaan tak dainay say guraiz nhi kerta per ager wo he cheeze pas ho tou os ki fiker o qader nhi kerta.....
kch aisa he insano k dermiyaan rishton ki mohabbat ka hy......jab tak koi hmaray pas nhi hota hum os k liye beqaraar hotay hain per jese he wo insan hmari zindagi mein shamil ho jata hy hum kuch mutmayin ho jatay hain......phr wo beqrari or izhar nhi kertay per is ka matlab yeh nhi k mohabbat km ho gayi...................
kuch log isay mohabbat main kami samajhtay huay kuch dair k liye juda honay ka faisla kertay hain per wo drasal waqie juda ki rah per chal pertay hain..........mohabbat kisi k dil main paida nhi ki ja sakti haa mager hum qadar berha saktay hain or is k liye dour hona zroori nhi........
well...jahan muhbbat hoti hai..wahan dooriyan sehna buht mushkil hota hai....behad chaha jata hai jab kisi ko phir us se door rehna namumkin lagta hai...dori her pal tarpati hai....so ais way se main agree nai kerti ais shair se.....lakh try ker le banda muhbbat dor nai rehnay deti.....
Muhbbat Main Doriyan Azaab Hoti Hain Jana....
kisi Paal Aa Ker Ais Azab Se Nikal Do Jana....
or dosri way se socha jaye tu....haan door reh ker muhbbat ik anokha maza b deti hai....her her pal ka tarpna ik dosre k liye....or us tarp ko batana or sunana muhbbat ko mazbot kerta hai...or buht khubsurat ehsaas b deta hai....or muhbbat barhti jati hai....lakin in the end yahi kahon gi keh..
Muhbbat jitni gehri ho gi Dori / Judai...Utna he tarpati Hai..or Milnay Ki Chah Barhti He Jati Hai....
SD ki Basanti
Chal DhanoOo
I Love the feelings When U Hold My Hand....
i think
na itna qurb ho k wo shaks hum se bezar ho jaye
or
na itna falsa ho k wo hamry bina hi jeena seekh le
Muhabbat mein balance zaroori hai....
Ik Muhabbat ko amar karna tha.....
to ye socha k ..... ab bichar jaye..!!!!