WISAAL E YAAR
Ajab apna Haal hotaA jo wisaal-e-yaar hota
kabhi jaan sadqe hoti, kabhi dil nisaar hotaa
koi fitna ta-qiyAamat na phir aashkaar hotaa
tere dil pe kaash zaalim mujhe ikhtiyar hotaa
jo tumhari tarah tum se koi jhoote wade kartaa
tumhin munsifi se kah do, tumhein aitibar hotaa
gham-e-ishq mein maza tha jo use samajh ke khaate
yeh woh zehr hai ke aakhir mai-e-Khushgawaar hotaa
na maza hai dushmani mein, na hi lutf dosti mein
ko_ii ghair-ghair hotaa, ko_ii yaar-yaar hotaa
ye mazaa thaa dil-lagii kaa ke baraabar aag lagtii
naa tujhe qaraar hotaa, naa mujhe qaraar hotaa
tere wadey par sitamgar! abhii aour sabr karte
agar apnii zindagii kaa hameiN aitibaar hotaa
ye woh dard-e-dil nahin hai ke ho charah-saaz koi
agar aik baar mittaa to hazaar baar hotaa
gaye hosh tere zahid ! jo wo chashm-e-mast dekhi
mujhe kya ulat na deta jo na bada-Khwar hotaa?
mujhe maante sab aisaa, ke udoo bhii sajdah karte
dar-e-yaar kaaba bantaa, jo miraa mazaar hotaa
tumhen naz ho na kyun kar ke liya hai "Dagh" ka dil
ye raqam naa haath lagtii, naa ye iftiKhaar hotaa