haan yar bht mushkil topic rakha is baar
hai tou lajwab, but poetry hard to find
Azaab-e-hijr barha loon agar ijaazat ho
ik aur zakhm main khaa loon agar ijaazat ho
Tumhaare aariz-o-lab ki judaai ke din hain
main jaam moonh se lagaa loon agar ijaazat ho
Tumhaara husn tumhaare khayaal ka chehra
shabaahaton mein chupaa loon agar ijaazat ho
Tumhi se hai mere har khwaab-e-shauq ka rishta
ik aour khwaab kamaa loon agar ijaazat ho
Thakaa diya hai tumhaare firaaq ne mujh ko
kahin mai khud ko giraa loon agar ijaazat ho
Bbaraaye naam banaam-e-shab-e-visaal yahaan
shab-e-firaaq manaa loon agar ijaazat ho
haan yar bht mushkil topic rakha is baar
hai tou lajwab, but poetry hard to find
too hard to find... dhaai hours ke bad ye mili mujhe..jo thori behtr lgai.. aur thi b nai..matlb no option
khir aik tarha se acha bhi hay.. thora mushkil hoga to maza b ayega... unless log tang na hojaen dhundte dhundte
Kab uskaa visaal chaahiye thaa
bas aik Khayaal chaahiye thaa
kab dil ko javaab se Gharz thii
honTon ko savaal chaahiye thaa
shauq ek nafas thaa aur vafaa ko
paas-e-maah-o-saal chaahiye thaa
ek chehraa-e-saadaa thaa jo hamko
be-misl-o-misaal chaahiye thaa
ek qarb men zaat-o-zindagii hain
mumkin ko muhaal chaahiye thaa
ab mughy b mil jaye kahin se
sab ki sharings zabardast hain:Rosee:
Ik Muhabbat ko amar karna tha.....
to ye socha k ..... ab bichar jaye..!!!!
jaisa ke sub kehrahe hian ke Topic kafi muskil hia tu
AP Shab or Visal dono ki alag alg bi poetry laga saktey hain
isliye ab ap ke pass 3 choices hian
Shab-e-Visal ,,, Shab or Visal
nazo late ai you . . chalo ab jo share karinge unko aasani hogai..
ache lage is bar comp sare..
okz
nEvEr lEt mE gO iF yOu Do I cAn't lOvE yOu BaCk ......!!!!!
chalo next time easy rakhy gay loko:love 1:
Ik Muhabbat ko amar karna tha.....
to ye socha k ..... ab bichar jaye..!!!!