KHWAHISH
Humarai baaton se ittefaaq karoge kyon nahin
Main jo andheron me khada hun ik roushni
liye
Ik Junun hai qayam abtak mujhme EHSAAS
Main aasmaan bichhaunga apni zameen ke liye
Aaj banzar ho chuka hai jo khulush apna
Kuchh phul ugaaungan is banzar zameen ke
liye
Sisak rahi hai zindagi, udaas hain aankhen
Kuchh muskurahat talaasungan un labon ke liye
Bhatak rahen hain log,na koi thikana hai
unka
Ek aashiyaana banaaungan in sabho ke liye
Siddat-e-bhuk se jo ubal rahin hain aankhen
Main apna sab kuchh lutaungan inke ghamo ke
liye
kaante chubhe the kabhi sare raah
chalte-chalte
ab Main phul bichhaunga,un raahon ke liye
log bhul chuke hain ki tha EHSAAS koi
main ab khud ko bhulaunga,unki khushi ke
liye
kya karunga shikwa kisi se main EHSAAS
khud apno ne hi rulaya hai,apni khushi ke
liye
main unhen hasaunga,dunga khushi unko
khud ko buland jo karna hai ,apni khudi ke
liye