Meraa Khaamosh rah kar bhi unhein sab kuch suna dena
zabaan se kuch na kahna, dekh kr aannsu baha dena
Nasheman ho na ho ye to falak kaa mashgalaa thehra
ki do tinke jahaan par dekhnaa, bijalii giraa dena
Ijaazat ho to kah dun qissaa-e-ulfat sar-e-mehfil
mujhe kuch to fasaana yaad hai kuch tum suna dena
Main mujrim hun mujhe iqraar hai jurm-e-muhabbat ka
magar pehle khataa par gaur kar lo phir sazaa dena
Main is haalat mein pahuncha hashr waale khud pukaar uthe
koi faryaad karne a rahaa hai raastaa denaa
DEDICATED TO MYSELF