-
Humain aakar mana laina kisi bhi kaam se pehlay
Humain aakar mana laina kisi bhi kaam se pehlay
Udasi thehar jati hai tumhare naam se pehlay
Kahan bichra hua koi,safar kay baad milta hai
Humain mil kar hi jana tum safar ki shaam say pehlay
Yahi taarey teri aankhon ki chilman main rehtey thay
Yahi soraj nikalta tha, tumharey baam se pehlay
Meri aankhon ko teri ungliyon kion aram aadat hai
Ye aankhen so he jati theen barey aaram se pehlay
Teri aankhon ko dekha to faqt itna khyaal aaya
Guzara kis tarha jewan saloney jam sey pehlay
Dilon main phool khiltey hain tumharay naam say pehlay
Laho main deep jaltey hain tumharey naam say pehley
Dilon ki jagmagati bastiyan aitraz karti hain
Wohi jo log lagtey hain nihayat aam say pehley
Hua hai wo agar munsif, to Amjad ehtiatan hum
Saza tajweez kartey hain kisi anjam say pehlay .
Jhoot Kahoon To Sub Kuch Hai Mere Paas........!
Aur Such Kahoon To Ek Tere Siwa Kuch Bhi Khaas Nahi........!
-
Re: Humain aakar mana laina kisi bhi kaam se pehla
-
Re: Humain aakar mana laina kisi bhi kaam se pehla
Thank u
Jhoot Kahoon To Sub Kuch Hai Mere Paas........!
Aur Such Kahoon To Ek Tere Siwa Kuch Bhi Khaas Nahi........!
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules