-
Sun sakay to sun lay ye aakhri kahaani hay
Sun sakay to sun lay ye aakhri kahaani hay
waqt ki sada hay ye, waqt ki kahaani hay
bhoolna bhi chahogi ,to bhula na paaogi
payrr payrr par likhi ab meri kahaani hay
ehl e dil hi kehte hain ehl e dil hi suntay hain
chaand aik naghma hay chaandni kahaani hay
zard zard chehre hain surkh surkh aankhen hain
is nagar ka har baasi an kahi kahaani hay
rang rang koochon main phool phool galyon main
tera hi fasana hay teri hi kahaani hay
SHAM itni jaldi kiun log bhool jaatay hain
kal hi ka to qissa hay kal hi ki kahaani hay
Jhoot Kahoon To Sub Kuch Hai Mere Paas........!
Aur Such Kahoon To Ek Tere Siwa Kuch Bhi Khaas Nahi........!
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules