Aa ke patthar to mere sahan mein do-chaar gire
jitane us per ke phal the pas-e-diivaar gire

Aisi dehshat thi fazaaon mein khule paani ki
aankh jhapki bhi nahin haath se patavaar gire

Mujhe girna hai to main apne hi qadamon mein giruun
jis tarah saayaa-e-divaar pe diivaar gire

Tirgii chor gaye din mein ujaale ke Khutuut
ye sitaare mere ghar tuut ke bekaar gire

Dekh kar apne dar-o-baam laraz uthtaa hun
mere ham_saaye mein jab bhi koi deevaar gire

Waqt ki Dor Khuda jaane kahan se tuute
kis ghari sar pe ye latki hui talvaar gire

Ham se Takaraa gai Khud barh ke andhere ki chattaan
ham sambhal_kar jo bahut chalte the naa.chaar gire

Haath aaya nahin kuch raat ki dal_dal ke sivaa
haaye kis mor pe Khvaabon ke parastaar gire

Kya kahun diidaa-e-tar ye to mera chehraa hai
sang kat jaate hain baarish ki jahaan dhaar gire

Dekhte kyon ho 'Shakeb' itani bulandi ki taraf
na uthaayaa karo sar ko ki ye dastaar gire