hmm.. achi hai.. keep it up
Maray safar kaa hum safar
Wo aik musafir
Aaj howa juda!
Rastaa badal gaya hai, uss kaa
Yaa phir........
Khud jaan booj kar wo chal parha mukhalif simat
Magar nahi.......
Yaa maray yaktarfaa jazbay mujh ko ruswaii say bach gaye hain
Woo nayi manzil kaa musafir howa
Aur mein,
mein aik kadam mazeed
Peechay hat gii hoon!!!!!
like karlo
kOi bhEE aisa lamha nahi. . .
jismEin mEre tU hOta nahi.
hmm.. achi hai.. keep it up
nice sharing ashi
Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
Mein Le Kar Bhi,
Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
Behter Hai...!!
Very Good Shairi O.o Ashi o.O, I like it. Yeh aik choti si ghazal meri taraf say bhi......
Muhabbat Ka Dhuwan Aankhon Mein Pani Chor Jata Hai,
Kisi Rastay Se Gham Guzaray Nishani Chor Jata Hai,
Humari Guftugu Se Bhi Woh Qael Nahi Hota,
Aur Apni Khamoshi K Bhi Maani Chor Jata Hai,
Bharosa Jis Pe Ho Usay Tawaqqo Koi Mat Rakhna,
Yehi Ek Saibaan Be-Saaibaani Chor Jata Hai,
Bichar Kar Bhi Hum Aise Shakhs Se Bichrra Nahi Kartay,
Jo Ek Fiqra Aada Kar K Kahani Chor Jata Hai,
SAHIL Mout Bhi Kam Khubsurat Toh Nahi Hogi,
Jo Isko Dekhta Hai Zindgani Chorr Jata Hai..