w.salam
Shair bahout acha hai ..aur is per her aik ka apna aik nazariya hosakta hai
but agreed with bean ... aur jahan tuk baat hai halaat ki to ..to halaat ko sanwaarna aur bigaarna insaan k apney haath main hai ..aur fitrat bhi mera nahi khayaal aik si hoti hai
...insaan ko Allah Pak ney Ashraf-ul-makhlooqaat ka derjah yun hi to ata nahi kiya na ..us k bas main halaat ki paicheedgiyon ki samajhney aur unhain behter tareeqay se nibhaanay aur badalnay ki taqat di hai ..bas yeh halaat ki noiyat per hai k woh kitni dair main sulajh sakta hai aur kitna time leta hai