Results 1 to 10 of 11

Thread: Youm e Mohabbat

Threaded View

Previous Post Previous Post   Next Post Next Post
  1. #1
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Karachi,Pakistan
    Posts
    11,802
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    16 Thread(s)
    Rep Power
    21474862

    Default Youm e Mohabbat

    Youm e Mohabbat


    written By
    Mishaal Ahmed

    "aj youm e mohabbat akar Guzar gaya..."

    meri ujri hui ankhein cheeckh cheekh kar apni be basi ka ailaan kar rahi thein..
    mera dil bain kar raha tha..
    apni us mohabbat ka jis ne abhi
    saans lena shru kia tha..
    aur shayad mohabat har kisi ka muqaddar nahiin hua karti na..

    aj youm e mohabbat ke din woh mujhse mila tha..aur theek aj ke din woh mujhse juda hogaya....mujhe chor gaya...

    woh kehta hai januu mein tumse buhut mohabbat karta hun..
    per tumhein apni zindagi nahiin bana sakta..
    woh kehta hai janu mein tumhein har khushi de sakta hun per yeh khushi nahiin de sakta

    aur woh kehta hai ke dekho rona mat mujhe yeh ansoo takleef dete hain..magar phir bhi woh mujhe ansoo de gaya..mujhe kabhi na khatam honey wala ghum.. ghum ka ehsaas dey gaya..mujhe humesha ka intezaar de gaya..

    ................................

    aj ka din buhut khaas tha..meine us key liya surkh Gulaab khareedey the..aur wahiin us jaga jahan humesha miltey the.. wahiin us park ki safaid ujli bench per ja kar beth gayi..

    mujhe apne dil ki buhut si baatein kehna thein buhut si sunni thein..
    kitna kuch tha jo usey batana tha..magar lafzon ka khel
    uski pheeki parti muskurahat..uskey madham lehjey mein ki gayi un sargoshyon ne khatam kar dia..kia tha woh koi devta koi masiyah..jo har ik ke dil per merham rakh deta hai..

    uska lout jana..mujhe chor jana mujhe bura kyun nahiin laga???..shayad is liye ..ke uski mohabbat uskey mujhey chor dene ke ehsaas per haavi thi..uski ik ik baat mujhey sunai de rahi thi mein samajh rahi thi..per dil..dil kuch nahiin sun raha tha..kisi buhut hi ziddi bache ki tarhan machal raha tha..

    Dil kiya usey rok lun..usey kahon suno mat jao..
    aj youm e mohabbat hai mohabbat ka din..humarey pyaar ki salgirah..yeh aik din tu mujhe de jao?suno yeh aik din hi mujhe daan kar jao..per woh ..woh kisi aur ka ho chuka tha..
    aur ab usey kisi aur ka hi rehna tha..

    usney aik be sahara larki ko jo uski phopizaad thi jo sunney jo dekhney se mazoor thi jiska ab koi sar e parast nahiin tha usey zindagi bana liya tha..mein..mein tu buhut door reh gayi..woh mujhse sadiyon ki doori par chala Gaya..

    mein usey kisi imtehaan mein mubtila nahiin karna chahti thi..so woh chala gaya meri ankhon mein apni mohabbat apni yadon ke Diye roshan kar ke..mujhe ik na khatam honey wli aziyaat mein mubttila kar ke..bichertey samey..uska qarbnaak chehra dekhna khud mere liye mushkil ho raha tha..woh apni aziyat mujhse chupana chahta tha per chupa nahiin pa raha tha..aur mein soch rahi thi yeh aziyat yeh qarb itna hai tu jab usney apni zindagi kisi aur ke naam ki hogi tu..woh kitna toota hoga kitna bikhra hoga..aur ab apney wajood ki karchiyaan sametney mein usey kitna waqt lag jaye..uska zakham zakham lehja..mein uski halat per ro hi tu pari thi...mujhe apna ghum apna nuqsaan uskey agey buht chota laga..

    .............................

    aaj yahan park mein mohabbat ke naam per kitne rang the per mere andar khamoshi thi.. mujhe pichley saal ka valentine day aur uski khoobsurat shaam buhut yaad ayi..

    har taraf rang o noor ka sama tha.. mohabbat karne waley dil khuhiyaan mana rahey the..aur mein koft se khala jaani ke saath park mein bethi thi.. hum humesha isi park mein atey the shaam Guzarney..per aj koft ki waja yeh rang o boo ka selaab tha har koi red dresses mein malboos Gola ganda bana ufff...sakht chirti thi mein...14 feb ko mein yahan aney se guraiz karti thi per har baar khala le ati thein..ke log jo bhi karein humein kya..humein apni routine kharab nahiin karni chahiye..

    mein buhut dair se aik masoom bachey ko khelta dekh rahi thi..woh buhut pyara tha Gol matol sa...
    mera khud pe ikhtiyaar nahiin raha aur usko be sakhta apni bahon mein bharney ka dil kiya.. us waqt woh bacha apni chotey chotey friends ke saath khel raha tha uskey aas paas koi nahiin tha..

    aur mere liye yahi gainmat tha ke moqay se faida uthao.. us bache ko Goud mein le kar khoob pyaar kiya aur us se choti choti baatein karney lagi..woh bacha humza apni totli zubaan mein baat karta behad pyara lag raha tha..

    "excuse me mam .....!!"

    kisi ne peeche se akar mujhe mukhatib kiya..mein aik lakht ch0nk Gayi..meine sar Ghumaya....aik ajnabi chehra mere samney tha.. Khush shakal.. white paint aur blue lines wali shirt mein asteen baazouon tak charhaye apney mazboot bazoo seenay per bandhe khara..woh mujhe aur us bache ko hi gh00r raha tha..uske honton per aik shararat khel rahi thi..

    "Apka mere bhateejey se khelnay aur ab mujhe gh00r gh00r kar dekhne ka shoq poora ho Gaya ho tu..kia ab aap mera bhateeja mujhe de sakti hain.. humein ab wapas jana hai" !!..woh hont taley apni besakhta hansi chupata bazahir sanjeedgi se bola..

    mein aik dam Garbara gayi.."Oh sorry !! apka bhateeja itna pyara hai ke usko dekh kar mein sab kuch bhool gayi thi" mein ne humza ko usey dete huye kaha..

    "Ji galiban mujhe dekhtey hue bhi aap sab kuch bhool gayi thein" usney phir shararat se kaha..

    Is baat ka jawaab mere paas nahiin tha tu mein is baat se hi inkaari ho gayi..aur phir jo moun mein aya us ko keh diya..bina rukey..non stop !


    "Dekhiye mr.. mujhe koi shoq nahiin kisi ko gh00r gh00r kar dekhun woh tu mein dekh rahi thi ke humza ki shakal apne chach00 se buhut milti hai..mein un larkiyon ki tarhan nahiin jo sar e aam valentine manati phir rahi hain.."meine naak charhayi

    "bhateeja kis ka hai zahir hai apne chachoo per hi jaye ga.. aur dusri baat yeh valentine ka ziker yahan kahan se agaya..??wese agar aap un larkiyon jesi nahiin tu yahan kiya kar rahi hain??"
    usne istafaar kiya..

    "mein yahan har roz ati hun apni khala jaani ke saath aur is stupid se event ki waja se hum apni routine nahiin chor sakte" meine shaan be niyaazi se jawaab diya

    "acha ! great hum apki baat ke qayil ho gaye.. mujhe bhi yeh event fazool lagta hai.." usne saaf Goyi se kaha

    Magar mera itni jaldi usey bakshne ka program nahiin tha.."oh Really ??Suniye Mr phir aap yahan kiya kar rahe hain?""

    "mein tu yahan apney bhateejey ko Ghumane laaya tha.apko koi aiteraaz hai aj ke din mere yahan aney per?."usney ankhein pitpata kaha aur mein samajh gayi uska ishara 14 feb ki taraf hai woh phir goya hua.."hum haal hi mein yahan shift huye hain park kareeb tha so le aya"

    "huh yeh kahein yahan ke nazarey dekhne aye hain"mera ghusse se bura haal ho gaya


    "tauba kitni shaki mizaaj hain aap..nahiin mera aisa koi irada nahiin...wese mustaqbil mein shayad aisa koi iraada bana tu kuch nahiin keh sakta"

    mein jawabi karwayi karney hi wali thi ke woh bol para..

    "acha ab hum chaltey hain humza ko apni new friend buhut achi lagein umeed hai humza ap se phir yahiin miley ga"usne muskura kar kaha aur humza bhi khikhila kar hansa tha mein usey muskura kar dekhne lagi

    "zaror kyun nahiin"

    "aur btw ab Mr mat kahiye ga Mera naam Sheezan Afandi hai"yeh kehtey hue woh anan fanan wahan se hawa ho gaya..

    magar mere dil per gehra naksh chor gaya ..tab mein khud apni feelings samajh nahiin payi thi.. valentines day mere dil mein sheezan Afandi ki mohabbat jaga gaya tha..

    yeh theek mujhe valentines day se nafrat thi magar mmohabbat ke wajood se inkaari nahiin thi..kiya pata tha ke aik din mohabbat yun ghayal karey gi..

    ..............................

    woh us din ke baad nahiin aya.. haan per humza zaror ata apni phopo ke saath..woh mujhse buhut ghul mil gaya tha.. per mujhe uska bhi intezaar rehta ..koi pal..koi lamha..aisa nahiin jab meine usey na socha ho..apko hairat hogi na ke kisi se aik mulaqat oh bhi sar sari jis meina pne jali katti chand baton ke siwa kuch na kiya hu..woh mohabbat mein kaise badal jati hai??

    "shayad log sach hi kehtey hain..mohabbat ke liye ik lamha bhi kafi hota hai..first sight love shayad isey hi kehte hain"

    ...........................

    phir ik din woh agaya..mujhe laga ke yeh park pholon se bhar gaya ho hawa ke jhonke sar khushi ke alam mein uske agey bich gaye hon khushboein chahaar taraf raqsaan ho gayi hon..

    mein apni makhsoos bench par bethi thi aj khala jaani saath nahiin thein unki tabiyat theek nahiin thi so mein waqt Guzari ke liye kitaab saath le ayi thi..

    "hello miss"..
    mein aik dam sar uthaya tu samney apni zindagi ko khara muskuratey paaya

    "Kya mein yahan beth sakta hoon" mein chonki aur sar hila diya aur humza ko apni goud mein bitha kar khud ko masrood zahir karney ki koshish karne lagi

    woh mea bagh00r jaiza le raha tha..

    "Suniye miss.. mazrat ke saath..aap sach mein humza ke saath busy hai ya dastan mujhe ignore kar rahi haim?"usney muskurate huye meri chori pakri

    "ji nahiin tu.. hum waqayi busy hai"meine garbarate huye kaha"

    "ji ji mujhe nazar araha hai kitne busy hain "
    humza apne school ki koi story suna raha tha..

    mein sharminda ho gayi..jo bhi ho mujhe yun nahiin karna chahiye tha is liye maine baat mein pehell karni chahiye..

    "Aur aap kaise hain aur aj humza apne chachoo ke saath aya hai?"

    "hmm..office mein busy tha..magar kab tak.. koi mujhe khench hi laaya"us ne asmaan koi taraf dekhtey huye matanat se kaha..

    "kaun humza?"

    "nahiin..kisi ka intezaar"usne us saniye mujhe dekha tha..

    "mujhe lagta hai mujhe kisi ka intezaar khench laaya hai kiya apko nahiin lagta miss?"usney mere istafaar karne par jawaab diya

    mujhse koi jawaab nahiin ban para..

    "Aap janti hai miss mein yahan kyun aya hun? mein yahan apke liye aya hun"usney apne seene per haath baandh kar dilchaspi se mujhe dekha

    "kyun ke mujhe lagta hai ke meri talaash khatam ho chuki hai..mere dil ne yeh gawahi di hai ke yeh beniyaaz si larki jo gheron ke bachon ko dekh kar unhein pal mein apna bana leti hai woh jis ke chehrey se bachon ki si masoomiyat aur khushi jhalakti hai.. jo apni khafgi ko izhara karney se nahiin chonkti..woh jo khatarnaak had tak saaf gou hai.. Sheezan afandi ke dil mein ghar kar chuki hai.."woh aik saniye ke liye ruk ker mere chehrey par atay jatay rangon ko note karney laga jahan hairat..khushi..sharam,aur zindagi ke anokhe rang mujood the,,

    "aur woh larki jis ka ab tak mein naam bhi nahiin janta..mein us se mohabbat karta hun"

    "mera naam SaniYa hai !"
    meine sar uthaye bina jawaab diya..us jawaab mein wazeh iqraar mujood tha ke sheezaan afandi tumne bhi mere dil mein apna ashyana bana liya hai..mere dil ki zameen par bhi tumhari mohabbat phool khill utha hai..

    .............................

    yeh lamhey aj bhi roz roshan ki tarhan mujh per ayaan hain maazi ki har yaad aaj bhi utni hi taro taaza lagti hai mujhe..Sheezan har aik ko apan bana leta tha..kyunke woh tha hi aisa.. chahey jane ke qabil koi bhi larki uski tamanna kar sakti thi..

    usey har ik ka ehsaas tha apni beheno mamma baba bhai bhabihi ..har ik ki zubana per hum waqt shezan ki sada hoti..

    woh shezan jo kabhi kisi ko museebat mein dekhe.tu tarap jaye apne sab kaam..apni har pareshaani..khushi bhool kar us shaks ki museebat door karne lag jaye jisey woh janta bhi nahiin..

    aur aisa hi tu hua tha ab ke bhi.. woh apni zindagi ki sba se bari khushi apni mohabbat se dastbardaar ho ker dusron ko khushiyaan dene mein lag gaya tha..tu phir mein usey kyun rokti? aur mujhe kiya haq hai ke mein usko rok sakon..

    magar yeh dil..yeh nahiin sunta..
    aj phir valentines day per rang o boo ka selaab hai mohabbat sarzameen par chahyi hui hai.. magar mere dil per mohabbat ke kho janey ka matam chayaa hua hai..

    apko pata hai na kisi bache ka koi khilona kho jaye tu usey kitni takleef hoti hai?woh kitna rota hai cheekhta hai chilata hai? Magar sheezan afandi woh koi khilona nahiin tha..woh meri zindagi tha..zindagi ki sab se bari sachayi..woh kho Gaya hai..uskey kho janey per mera dil kese na toota hoga..

    mujhe yaoum e mohabbat ke sab rang pheekay lag rahey hain aur shayad humesha lagein ge..kyunke..

    Jab dil ki basti ujar Jati hai
    Jab angan suna ho Jata hai
    jab sapne murda ho jatey hain
    Tu chahat ke bhi rang sarey
    dekho pheekay par jatey hain
    us des mein ab janaa
    shayad hi koi phool khile
    Din raat aur shaam koi
    shayad hi ab baat kare
    Is soni dil ki basti mein
    shayad hi ab koi phool khile


    .......................

    The End
    Last edited by мιѕнααℓ; 10-02-2011 at 05:02 PM.
    Alhamdullilah

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •