well us waqt likhna tha but reh gaya ..
aik baat samajh nahi aati ..itni chaan been ki jaati hai k lerka kesa ho , lerki kesi ho ...chalo theek hai hamaray Mazhab main bhi is baat ko kaha gaya hai k dekh bhaal ker kerni chahiay ..but jab do log raazi hain..chahay kisi bhi bases per ..to phir duniya kiu unko discuss kerti hai ?
shaadi k baad bhi bahout se changes logon main ajatay hain
..ager koi lerki alif k jesey patli thi aur shaadi k baad woh sooraj k jesi gol matol hojiaey to kia us per bhi itna discussion hoga? ... kia kisi murd main shaadi k baad koi aieb ajaiey to usko bhi target kiya jaiega ?..
log nibhaa ker rahay to kerney do yaar .. why should we discuss them?..kabhi kabhi hum umer , hum zaat , hum braadri aur rishtedar bhi nibhaa nahi ker patay