muhabbat dukh to deti hai,
magar ek baat kehni hai,
k jis ko chaaha jata hai,
zaroori ye nahi hota,
k us ko paa lia jaye,
kabhi us k bicharne se,
muhabbat kam nahi hoti,
zara si dair pehle to,
yehi ehsaas hota hai,
k koi jee nahi sakta,
magar phir rafta rafta hi,
haqeeqat khulti jati hai,
muhabbat wo nahi hoti,
k jis ko paa lia jay...e,
muhabbat wo bhi hoti hai,
jo hamesha saath rehti hai,
kabhi dukh k andheron men,
kabhi khushion k daaman men,
kabhi wo aas deti hai,
kabhi ummeed deti hai ! !