Assalamualikum.....

Aug main Bano Qudsia k Iqtibas Share karne thay jis main Manoos Ajnabi k 4 votes mile aur Paras ko 6 votes......Lehaza Aug k Month ki winner Paras hain

Paras ko Boht Mubarak hu


Paras ne yeh iqtibas Share kya tha


Raja Gidh (Bano Qudsia)


Mohabbat nafrat ka seedha saadha sa shetani roop hai..mohabbat sada libas main

malboos umroo-ayyar hai.. ...hamesha do rahon par lakar khara kar deti hai....

is ki rah pay har jaga raasta dikhanay ko saleeb ka nihsan gira hota hai.mohabbat k

jhamailon main kabhi faisla kuch saza nahin hoti...hameesha umar qaid hoti hai.

mohabbat ka mizaaj hawa ki tarah hai, kahin tikta nahin, mohabbat main bayak waqt

tornay aur jornay ki salahiyat hoti hai....mohabbat to har din kay saath eiaa'da chahati

hai....jab tak roz is tasveer main rang na bharo tasveer fade honay lagti hai..rooz soraj

na charhay to din nhi hota..isi tarhan jis roz mohabbat ka aftab tuloo na ho, raat rehti

hai"

14861e66e00810 - Winner :Best Iqtibas