Winner Hain.


Killer

inho ne 4 votes se comp win kiya hai



baki sub ka b behad sukriya

inki shairng.




hairat mujhe un logo per hoti hay jo is din ko manane k khilaf hain, ziada ter hamare molve hazraat aur "nae nae movle" isme paish paish hote hain ke ye angrezo ka tehwar hay.
thora history perhen jo asal hay na ke sms wali to samjhenge ke ye tehwar nahi, rivayat hay. aur phir angrezo ke banaya hoa qanoon, angrezo ka banaya hoa paisa , angrezo ki banai hui jadeed sahuliyat , sab istemal kar rahe hain to is rivayat ke sath munafiqat kyon ?
agar angrez aj bhi apne laws mai Hazrat Umer (R.A) ke dour ko yad karta hay aru usko course ka hissa banata hay, to ham mehz unka banya hoa aik aur din khushi ka kyon nahi mana sakte ?

kia hay agar children's day, population day , teachers day aur pta nahi kon kon se days aate han..unper to koi kuch nahi kehta jab ke wo bhi angrezo k banae hoe hain.. mothers day aur fathers day per media ko bula bula kar documentaries banwai jati hain, tab wo angrezo ke tehwar nahi hote ?
aik maroof mazhabi siyasi jamat ne to hamre 73 ke law se ye keh ker mu mor liya tha k ye angrezi mai likha tha isliy hamai samjh nahi aya... aur ham aise logo se umed karte hain k ey hami sahi raah dikhaenge

"mazhab aur mashrat mai farq hota hay jo shyed hamre parhe likhe log krna bhulgae hain"


Mehaz mohabat ka izhar hi to hay, is aik din . kia hay agar koi apne dil ki bat dosre ko kehde ? kai mohabt karne wale is din ka intezar karte hain k shyed, koi chahne wala unhe ehsas dilae k wo bhi khas hain.. her jazba izhaar mangta hay, khuwa wo ankho se ho ya zubaan se... ya mehz isharo se... to is aik din agar koi mohabt karne wala izhar ya iqrar kar raha hai to kia bura hay ?