View Poll Results: Cast Ur Votes

Voters
8. You may not vote on this poll
  • dhanak

    4 50.00%
  • insh

    1 12.50%
  • ~Aquarian~

    3 37.50%
  • *resham*

    0 0%
Results 1 to 10 of 10

Thread: Urdu Writers Polling for March Comp 2011

Hybrid View

Previous Post Previous Post   Next Post Next Post
  1. #1
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Urdu Writers Polling for March Comp 2011



    Comp Main 4 Members ne participate kiya.
    jis ki sharing ap ko pasand aye vote kijeye
    yeh Tasveer di thi jis per likhna tha.
    jis ne is Tasver ke hisab se acha likha ho usko vote kijeye.

    123 9 - Urdu Writers Polling for March Comp 2011

    Rules:-

    Ek member ek hi bar vote kr skta häi.
    Aap apni sharing ko vote nahi kar sktey.
    Vote krney ki last date 28th March 2011 hai.

  2. #2
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Urdu Writers Polling for March Comp 2011

    dhanak



    kesi yeh anjaan lerki hy ?
    mushkilo say lertay khud apna raasta bnatay safar-e-hayaat main tanha mehv-safar hy.................
    janay kya sochti rehti hy wo siyaah labaas pehnay janay kya khoojti rehti hy.....................
    main jo roz pehron khara osay jata daikta rehta hun janay kis khyaal main bin daikhay wo chalti rehti hy..................
    jo jugno os nay thamaye thay jo saal kuch intezar k mjhy amanat sonpay thay ..............
    shyad waday ko bhula diya os nay ...............
    tanha safar ko manzil bna liya os nay..............





    insh




    Pta nahi main jo karnay ja rahe ho woh sahee hai ya galat..main ne yeh faisla intehai takleef main kia hai ......
    kabhi Ayaan se milna mare zindagi ka sab se khubsurat tareen din hota tha par ab.......ab youn lagta hai us ki taraf barhatay mare yeh qadam mann mann bhari ho gae hoon.. jaise main nangay paon kaantoo se guzar rae hoon
    lakin mujhai khud ko mazboot kar us se milna he hai bas aakhri baar...........

    Kia hoa Tabeer mujhai yahan q bulaya hai hum to kaheen bhee mil saktay thay.
    Ayaan baychaine se us ki taraf barha

    han woh mujhai laga jo baat mujhai tum se krni hai woh yahi ho sakte hai. mare awaaz ki larzish bohat saaf the

    kia hoa hai tumhai tum theek to ho?Awaaz q kap kpa rahi hai kia kehna chahte ho tum?

    Aur is lamhay mera dil chaha k main phoot phoot k roo du.....lakin apnay aansoo apnay dil pe giratay hoe bolna chaha to alfaaz mare halaq main he atak gae.

    woh...woh main...Ayan main tumhari amanat wapis karnay aae hoon us ne angothi utaar kar ayan k samnay kar de.

    Ayan nasamjhi ki kefyat main angothi ko aur kabhi tabeer ko dekhnay laga

    kk..kia..kia matlab hai is baat ka pagal ho gae ho kia jaanti bhe ho kia kar rae ho?

    main janti hu main..main tum se shadi nae kar sakte main yeh rishta khatam kar rae hoon.

    Ohh...q ab tumhai mujh se muhabbat nahi rahi ya pher....ya pher koe aur pasand aa gaya hai?

    aur mai intehai takleef k alam main bas Ayaan ko dekhti rahe jis ki Annkho main wohi shak ka zehar tha.

    Tum..Ayaan tum ne kabhi mujh per mari mohabbat per kabhi etbaar nahi kia teen (3) saal main koe aisa lamha nahi aaya jub mujhai tumhai apnay har amal ki wazahat dani ho tumhai har baat ka etbaar dilwana ho
    bas.. ab yeh hoa hai k main tumhai apni mohabbat ka etbaar dilwa dilwa kar thak chuki hoon..mujhai lagta hai main tumhai kabhi etbaar na dilwa sakoon ge..main is shak k zehar se marr jaon ge.

    tum ..tum aisa kaise kar sakti ho Tabeer main..main sach main tum se mohabbat karta hoon to..to kia tum mujh se mohabbat nahi karti? kia tum mare bagair reh lo ge? tum ..tum aisa kaise kar sakti ho?

    Ayaan main ne...main ne bohat chaha hai tumhai bohat muhabbat ki hai tum se aur isi mohabbat ki khatir main ne yeh faisla kia hai q k main nahi chahti tumharay shakk ka zehar qatra qatra ban kar mare rooh ko zehrela kar day
    tumhara yeh shak mujhai tum se nafrat karnay per majboor kar day. main tum se nafrat nahi karna chahti .tum mujh per etbaar nahi kartay aur na kabhi kar sako gay main ..main is mohabbat ko marnay se bchana chahti hoon

    bass aaj se humaray raastay juda hain please ab mujh se kabhi mat milna.

    Aur mujhai laga ab agar main aik lamha bhee yahan ruki to main pher kabhii nahi ja sakoon ge ...Ayaan mujhai awazain day raha tha
    Aik baaar shidatt se mera dil chaha ruk jaon aik baar .. sirf ..aik baar murr kar use dekhu..lakin main aisa nahi kar sakti q k agar main ne murr kar pechay dekha to main..to mai pathar ki ho jaon ge ...aur main pathar ki nahi hona chahti.............



  3. #3
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Urdu Writers Polling for March Comp 2011

    ~Aquarian~



    Sami:Ja rahi ho?usne sawaal kiya..
    ujala:haan !!..woh katiyat se boli
    sami:ruko gi nahiin?..usne kisi aas se poocha
    ujala:nahiin ! uska lehja pathar ho gaya
    Sami: kyun?...usey buhut takleef hui..
    Ujala:kyunke ab humare raste jUda jUda hai sami..woh buhut zabt se boli
    sami:kia koi aisa rasta bhi nahiin bacha jo tum tak ata ho?uske lehje mein bekarari thi..
    ujala:mein apne tak ane wala har rasta .. har ik rasta band kar ke ja rahi hon ..wapsi ke sare darwazey band kar diye hain..suno unhein kholne ki kabhi koshish mat karna..tum bhi lout jao..uska lehja uske ansoo mein bheeg gaya..

    sami:lout jaon? kis bartey par?itna agey akar lout jaon..itni bari saza mat do ujala..kiya yehi mohabat hai??woh bikharne laga

    ujala:haan yehi mohabbat hai paa leneke baad kho dene ka naam..naarsayi aur judayon ki aziyat ka naam..mein ab tumhein kuch nahiin de sakti sami..aur zarori tu nahiin ke har pyaar ki kahani mein milan se dochaar ho???bolo na sami?

    sami:manta hun tumhari har baat lekin..Is dil ka kya karun ujala jis ki har lay tum se hai?tum chali jaogi tu mein kaise jiyo ga?kabhi socha tumne?mujh mein tumhein paa kar khone ka hosla nahiin ujala..mujh mein itna zirf itna hosla nahiin hai..usne apne baal muthiyon mein jakar liye aur ghutno per sar jhuka liya..

    ujala:suno tum chahte ho na mohabbat jeet ban jaye mohabbat amar ho jaye?? tu phir aik kaam karo..mohabat ko dil ke niha khano mein chupado aur aik nayi zindagi ki shruaat karo..yeh jo tum karoge na yeh humari mohabbat ke liye hi tu hoga? humari mohabbat lazawaal ho jaye gi.......
    yeh zArd pAtey..yeh pAir..hawAeein..FizAein..sab humein yaad rakhein gi sami..mohabbat zinda rahe gi..!!...Kya tum nahiin chahtey ke humari mohabbat amar ho jaye..jawadani ho jaye?? us ne narmi se uske shaney per hath rakha tha...

    Uske sawaal per sami ne sar uthaya tha uski surkh hoti ankhein androni takaleef ka pata de rahi thein....

    Sami:mein tumhein rokon ga nahiin ke mohabbat ka bharam mujhe azeez hai jis mohabbat ke wastey de rahi ho us mohbbat ke wasteY mein tumhein azaad karta hun..hAr Us wadey se jo tumne mujhse kiya..HAr us Qasam se jo meine khayi thein..bas ik mohabat ki khatir mein waada karta hun tumhareY rasteY mein ab kabhi nahiin aonga..magar suno.. kabhi kabhi dil ke kuaaR khol kar mazi ke sami ko ik jhalak dekh liya karna mujhe shayad kuch sukooN jaye...!! ..woh ik ik karke apne hi lafzon ke teer apne dil mein utaar raha tha...

    Ujala:aik waada tumne kia hai aik akhri waada mein karti hun..KAy Mein tumhari bata rakhunGi..woh sami aik pyari yAAd ki Tarhaan mere Dil mein rahey Ga ..Ho Ske tu ujala ko maaf kar dena..!!...usey apne ansouon per yaara na raha woh bhagti hui wahan se nikalti chali gayi..

    Zard patey hawa aur mitti ki bahon mein jhooltey hue uske jane ka ailaan kar rahe the..

    aur w0h !

    Us sarey Manzar Mein Akela reh Gaya..bilkul Tanha..Dil mein uth'tey Toofano ko seene mein dabaye uskei yadon ke diye ik ik karke bujhane laga ke us se wada jo kar betha tha.. ik nayi rah par jane ka..magar usey pata tha..abhi zakham gehre hain..unke bharne mein kuch waqt tu lagna hi tha..phir woh bhi wapas mur gaya...

  4. #4
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Urdu Writers Polling for March Comp 2011

    *resham*



    YAQEEN...

    Meri uljhanon mai koi mere saath nahi mai akeli es safer main khood ko bhut bebas mehsoos ker rahi hun aaj mujhye zindagi ne kis mourd pr laker kharda keridya hai meri kuch smajh main nahi arha hai main kiya karo ....?

    Kaisi ye tulkh mohbbat ki tulkh suchi dastaan hai kaisa ye sunsaan raasta hai k meri manzil ka mujhye bhi pata nahi main laash ban k apni hi qaber khood rahi thi aur mujhey kafan urhaney wala mera hi mahi tha meri mout ka sabeb wo nikla jise amin apni zindagi samjhti thi main ne tu kabi ye na na socha tha mera anjaam e mohbbat honga mai ne tu hamesha uske saath khwabon ka eak haseen ghr banya tha main etni diwangi se use chha rahi thi k mujhey khood andaza nahi tha k ye safer mujhye berbadi ki tarf le ja raha hai main kisi ki bi baat ka yaqeen nahi tha siwaye uske meri rooh main wo es tarh basa tha k meri her saans uski ebdat ker rahi thi etna toot ka main ne use chha tha k main khood ko bhool gayi thi her baar mera dil uski tarf khicha chala jata main kuch nahi samjhna hi nahi chhati hai dekh kr b nahi dekhti main chha kr b nahi soonti kiun k mera yaqeen hi etna mazboot hai main yehi smajhti k mai sab ko jhootla deti aur us se hamesha kehti k main aapke saath hun bhaley koi kuch b kahey mujhey yaqeen hai aap mujhey dhoka nahi dongey mujhey apnaogey sab k samney kitne pukht eradon main mai n khood ko qaid kr rakha tha aur mahi meri hr subha main hr shaam mai hota tha mere hr pal main hota etni wafa main ne uske naam krdi k main ne yaha tak soch liya k ger mere ghar waley na maney tu main zaher khalongi mar jaongi per uske bina nahi jiongi ya ghar se bhaag joaingi apne mahi k paas ....

    kitni nadaan soch thi aap yehi kahongye na main kiya krti apni masoom aur suchi mohbbat main pagal hogayi thi piyaar ko hi meri dunya aur use meri zindaghi manney lagi her baar main jab b kisi baat ko leker rooth jati tu wo mujhey yaqeen dilata k mujh se bhut piyaar krta hai en ashjaaron k beech usi sunsaan raaston pr bulata aur apni baaton main uljha deta k tum hi meri mohbbat hun meri ezzat hun ger meri shadi tum se na howi tu mai kisi se shadi nahi karonga aur main uski baaton main ajati aur uske sikanjey main ayesi fansti k nikla na pati ....

    Kitna mahir aur shatir tha wo jo mujhey mohbbat k naam per loot raha tha mujh se mohbbat k daawe kerta jo mere roothney pr khood ko zakhmi krta jo mai ne bolo tu marney ki baatein krta aur mere pichey meri mohbbat jhootlata pani zubaan se kehta k main uske pichye pari hun wo mujhye nahi chata main nadaan hun aaj fir se usne mujhey bada dawa krke usi andaaz mai apne paas bulaya usi jaga aur usne kaha meri zaat pr ye sirf eak elzaam hai resham main sabke samney kah sakta hun mujhey tum se mohbbat hai mera Yaqeen karo main es wiraan galion k sokhey paaton ki mananid kahi ye zalim hawa hamarey qadam na rook ley kahi ye shak k k gubaar se mera dam na nikal jaiye kahi ye pat jhar ka mosam tumhye hamesha k liye qaid na kerley tum thaam lo mera haath meri aur tumhari preshani k sirf do qadam ka fasla hai ye faaslein sirf do qadam hai shona ager main shai hun tu mujhye apne sine se laga lon k tumharey piyaar se mehek uthay humaray deda e dil jiski khushbu se hamari zindagi sawar jai dekhon mere haaton main ye sood kapra hai ager tum mujhye chord kr gayi tu main ese hi apna kafan bana longa mar jaounga main....

    us waqat dard ki ashna main ajeeb se ehsaas ki pnaah main thi main aur uski baatein mujhey mere dard ki dawa lag rahi thi k pata nahi k kaha se qudarti himmat ka janam howa k ALLAH ne mujh main such ko samjhney ka ayesa qudrati housla de diya main main ne roti howi ankhon se larzti rooh se tarp kr uske haaton se apne haaton ko kheench liya aur aur kaha kis yaqeen ki baat ker rahye hun aap mera yaqeen toot chuka hai main ne tu tum se ek mukhtesir se sawaal ka jawaab manga tha un alfaaz ki tumne qader b nahi ki mere zahen ko tum zang laga ker tum chaley gaaye us waqat tum ne mujhye apna Rafeeq-e-Haal nahi samjha meri mohbbat ka dawa kerne waley mere lab pe eak sawaal ab b hai jiska jawaab tumharey paas nahi hai bolo de sakogey mere sawaal ka jawaab jab burey waqat mai main ne tumhein awaaz di tum ne use apni zaat per ek elzaam samjha zara aik dafa apne dil mein jhank kar dekho to tumhein apni munafiqat samjh main ajaigi k tum ne kis haqeqat se moo chupaya tha....

    ye kah ker main use akeli tanha jis raastein k ourd mordi aur roti howi ankhon se mian us lambey sunsaan rastein ko dekh k sochney lagi kaisey guzrega es preshaan rastey per bebasi ka safer k kisi ko saath na paker kabhi main dar gayi tu jiska lamha lamha zawaal hai tabi mere dil se awaaz ayi lekin es jhooti mohbbat ka ik khookhla jazba mujhye kaisey kamzour ker sakta hai? fir main es jhootey yaqeen main khood ko soli per kiyn charhon kiun berbaad karo karo khood ko us k liye jis ne mujh se kabi mohbbat hi nahi ki jo khail raha tha mere ehsaas se use main ne round ker acha hi kiya khood juhlas janey se acha hai main ne use ehsaas tu dila diya uski galti ka main ne haqeeqat ki jang jeeti hai aaj wo mujhye dekhta raha aur awaaz de de ker mujhey apni tarf bulata rah gaya k wapas laout aaon na jaoun mujhye chourd kerper mujhye uski baatein aaj zaher lag rahi thi aur main hawa k jhookey ki tarh us raasetin ki aor bardi aur badi himmat se wo rasta main ne taaye ker hi liya......

  5. #5
    Join Date
    Oct 2009
    Location
    Failed State
    Posts
    50,102
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    34 Thread(s)
    Rep Power
    21474902

    Default Re: Urdu Writers Polling for March Comp 2011

    sab ne acha likha hay

    voted to dhanak.. not bcoz short likha hai.. but acha aur mukammal likha hai.

  6. #6
    Join Date
    Jul 2010
    Location
    karachi
    Posts
    2,366
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    9 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: Urdu Writers Polling for March Comp 2011

    Voted to aquirian...

    A single rose can be my garden... a single friend, my world.
    157eq6g - Urdu Writers Polling for March Comp 2011



  7. #7
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Karachi,Pakistan
    Posts
    11,802
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    16 Thread(s)
    Rep Power
    21474862

    Default Re: Urdu Writers Polling for March Comp 2011

    voted.. sab ne acha likha hai
    Alhamdullilah

  8. #8
    Hijaab's Avatar
    Hijaab is offline جنوں صفت
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Canada
    Posts
    25,300
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    442 Thread(s)
    Rep Power
    11381706

    Default Re: Urdu Writers Polling for March Comp 2011


    voted

  9. #9
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Someone's Heart
    Posts
    25,848
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    24 Thread(s)
    Rep Power
    21474878

    Default Re: Urdu Writers Polling for March Comp 2011

    sab ne buht acha likha

    dhanak ne apni mukhtasir si tehreer main sab kch keh diya...parh ker maza aa gaya



    or resham ne jis himmat or hosla se muhbbat ka mukabla kiya hai......daad deni pare gi.....or me impress hoyi yeh dekh ker k....tum ne jhooti muhbbat k liye khud ko barbad nai kiya..aam lerkiyon ki tarhan....buht brave or achay dil ko ho tum....hemsha aisi he rehna.....or ankhien khuli rakhna.....aj kal yahi muhbbat kahi or samhji or samhajayi jati hai.....hats off 2 u...
    SD ki Basanti

    Chal DhanoOo

    I Love the feelings When U Hold My Hand....

    53339010150654137193873 - Urdu Writers Polling for March Comp 2011

  10. #10
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Urdu Writers Polling for March Comp 2011

    Closed

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •