dhanak
kesi yeh anjaan lerki hy ?
mushkilo say lertay khud apna raasta bnatay safar-e-hayaat main tanha mehv-safar hy.................
janay kya sochti rehti hy wo siyaah labaas pehnay janay kya khoojti rehti hy.....................
main jo roz pehron khara osay jata daikta rehta hun janay kis khyaal main bin daikhay wo chalti rehti hy..................
jo jugno os nay thamaye thay jo saal kuch intezar k mjhy amanat sonpay thay ..............
shyad waday ko bhula diya os nay ...............
tanha safar ko manzil bna liya os nay..............
insh
Pta nahi main jo karnay ja rahe ho woh sahee hai ya galat..main ne yeh faisla intehai takleef main kia hai ......
kabhi Ayaan se milna mare zindagi ka sab se khubsurat tareen din hota tha par ab.......ab youn lagta hai us ki taraf barhatay mare yeh qadam mann mann bhari ho gae hoon.. jaise main nangay paon kaantoo se guzar rae hoon
lakin mujhai khud ko mazboot kar us se milna he hai bas aakhri baar...........
Kia hoa Tabeer mujhai yahan q bulaya hai hum to kaheen bhee mil saktay thay.
Ayaan baychaine se us ki taraf barha
han woh mujhai laga jo baat mujhai tum se krni hai woh yahi ho sakte hai. mare awaaz ki larzish bohat saaf the
kia hoa hai tumhai tum theek to ho?Awaaz q kap kpa rahi hai kia kehna chahte ho tum?
Aur is lamhay mera dil chaha k main phoot phoot k roo du.....lakin apnay aansoo apnay dil pe giratay hoe bolna chaha to alfaaz mare halaq main he atak gae.
woh...woh main...Ayan main tumhari amanat wapis karnay aae hoon us ne angothi utaar kar ayan k samnay kar de.
Ayan nasamjhi ki kefyat main angothi ko aur kabhi tabeer ko dekhnay laga
kk..kia..kia matlab hai is baat ka pagal ho gae ho kia jaanti bhe ho kia kar rae ho?
main janti hu main..main tum se shadi nae kar sakte main yeh rishta khatam kar rae hoon.
Ohh...q ab tumhai mujh se muhabbat nahi rahi ya pher....ya pher koe aur pasand aa gaya hai?
aur mai intehai takleef k alam main bas Ayaan ko dekhti rahe jis ki Annkho main wohi shak ka zehar tha.
Tum..Ayaan tum ne kabhi mujh per mari mohabbat per kabhi etbaar nahi kia teen (3) saal main koe aisa lamha nahi aaya jub mujhai tumhai apnay har amal ki wazahat dani ho tumhai har baat ka etbaar dilwana ho
bas.. ab yeh hoa hai k main tumhai apni mohabbat ka etbaar dilwa dilwa kar thak chuki hoon..mujhai lagta hai main tumhai kabhi etbaar na dilwa sakoon ge..main is shak k zehar se marr jaon ge.
tum ..tum aisa kaise kar sakti ho Tabeer main..main sach main tum se mohabbat karta hoon to..to kia tum mujh se mohabbat nahi karti? kia tum mare bagair reh lo ge? tum ..tum aisa kaise kar sakti ho?
Ayaan main ne...main ne bohat chaha hai tumhai bohat muhabbat ki hai tum se aur isi mohabbat ki khatir main ne yeh faisla kia hai q k main nahi chahti tumharay shakk ka zehar qatra qatra ban kar mare rooh ko zehrela kar day
tumhara yeh shak mujhai tum se nafrat karnay per majboor kar day. main tum se nafrat nahi karna chahti .tum mujh per etbaar nahi kartay aur na kabhi kar sako gay main ..main is mohabbat ko marnay se bchana chahti hoon
bass aaj se humaray raastay juda hain please ab mujh se kabhi mat milna.
Aur mujhai laga ab agar main aik lamha bhee yahan ruki to main pher kabhii nahi ja sakoon ge ...Ayaan mujhai awazain day raha tha
Aik baaar shidatt se mera dil chaha ruk jaon aik baar .. sirf ..aik baar murr kar use dekhu..lakin main aisa nahi kar sakti q k agar main ne murr kar pechay dekha to main..to mai pathar ki ho jaon ge ...aur main pathar ki nahi hona chahti.............