Results 1 to 7 of 7

Thread: BiCharne Se ZAAra Pehle

  1. #1
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Karachi,Pakistan
    Posts
    11,802
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    16 Thread(s)
    Rep Power
    21474862

    Default BiCharne Se ZAAra Pehle

    BechArney sE zaara Pehle

    123 9 - BiCharne Se ZAAra Pehle

    Sami:Ja rahi ho?usne sawaal kiya..
    ujala:haan !!..woh katiyat se boli
    sami:ruko gi nahiin?..usne kisi aas se poocha
    ujala:nahiin ! uska lehja pathar ho gaya
    Sami: kyun?...usey buhut takleef hui..
    Ujala:kyunke ab humare raste jUda jUda hai sami..woh buhut zabt se boli
    sami:kia koi aisa rasta bhi nahiin bacha jo tum tak ata ho?uske lehje mein bekarari thi..
    ujala:mein apne tak ane wala har rasta .. har ik rasta band kar ke ja rahi hon ..wapsi ke sare darwazey band kar diye hain..suno unhein kholne ki kabhi koshish mat karna..tum bhi lout jao..uska lehja uske ansoo mein bheeg gaya..

    sami:lout jaon? kis bartey par?itna agey akar lout jaon..itni bari saza mat do ujala..kiya yehi mohabat hai??woh bikharne laga

    ujala:haan yehi mohabbat hai paa leneke baad kho dene ka naam..naarsayi aur judayon ki aziyat ka naam..mein ab tumhein kuch nahiin de sakti sami..aur zarori tu nahiin ke har pyaar ki kahani mein milan se dochaar ho???bolo na sami?

    sami:manta hun tumhari har baat lekin..Is dil ka kya karun ujala jis ki har lay tum se hai?tum chali jaogi tu mein kaise jiyo ga?kabhi socha tumne?mujh mein tumhein paa kar khone ka hosla nahiin ujala..mujh mein itna zirf itna hosla nahiin hai..usne apne baal muthiyon mein jakar liye aur ghutno per sar jhuka liya..

    ujala:suno tum chahte ho na mohabbat jeet ban jaye mohabbat amar ho jaye?? tu phir aik kaam karo..mohabat ko dil ke niha khano mein chupado aur aik nayi zindagi ki shruaat karo..yeh jo tum karoge na yeh humari mohabbat ke liye hi tu hoga? humari mohabbat lazawaal ho jaye gi.......
    yeh zArd pAtey..yeh pAir..hawAeein..FizAein..sab humein yaad rakhein gi sami..mohabbat zinda rahe gi..!!...Kya tum nahiin chahtey ke humari mohabbat amar ho jaye..jawadani ho jaye?? us ne narmi se uske shaney per hath rakha tha...

    Uske sawaal per sami ne sar uthaya tha uski surkh hoti ankhein androni takaleef ka pata de rahi thein....

    Sami:mein tumhein rokon ga nahiin ke mohabbat ka bharam mujhe azeez hai jis mohabbat ke wastey de rahi ho us mohbbat ke wasteY mein tumhein azaad karta hun..hAr Us wadey se jo tumne mujhse kiya..HAr us Qasam se jo meine khayi thein..bas ik mohabat ki khatir mein waada karta hun tumhareY rasteY mein ab kabhi nahiin aonga..magar suno.. kabhi kabhi dil ke kuaaR khol kar mazi ke sami ko ik jhalak dekh liya karna mujhe shayad kuch sukooN jaye...!! ..woh ik ik karke apne hi lafzon ke teer apne dil mein utaar raha tha...

    Ujala:aik waada tumne kia hai aik akhri waada mein karti hun..KAy Mein tumhari bata rakhunGi..woh sami aik pyari yAAd ki Tarhaan mere Dil mein rahey Ga ..Ho Ske tu ujala ko maaf kar dena..!!...usey apne ansouon per yaara na raha woh bhagti hui wahan se nikalti chali gayi..

    Zard patey hawa aur mitti ki bahon mein jhooltey hue uske jane ka ailaan kar rahe the..

    aur w0h !

    Us sarey Manzar Mein Akela reh Gaya..bilkul Tanha..Dil mein uth'tey Toofano ko seene mein dabaye uskei yadon ke diye ik ik karke bujhane laga ke us se wada jo kar betha tha.. ik nayi rah par jane ka..magar usey pata tha..abhi zakham gehre hain..unke bharne mein kuch waqt tu lagna hi tha..phir woh bhi wapas mur gaya...
    Alhamdullilah

  2. #2
    Mohammad Sajid's Avatar
    Mohammad Sajid is offline * خاک نشین *
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: BiCharne Se ZAAra Pehle

    پھر یوں ہوا کے درد مجھے راس آ گیا

  3. #3
    Join Date
    Aug 2010
    Posts
    24,389
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: BiCharne Se ZAAra Pehle

    nice... very very nice...
    ap ki zuban aur bayan kafi khobsorat aur qabil-e-sataish ha

  4. #4
    Join Date
    Aug 2011
    Location
    jehlum
    Age
    32
    Posts
    12
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    3 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: BiCharne Se ZAAra Pehle

    alllllaaa

  5. #5
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Karachi,Pakistan
    Posts
    11,802
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    16 Thread(s)
    Rep Power
    21474862

    Default Re: BiCharne Se ZAAra Pehle

    Quote Originally Posted by Silent Tears View Post
    Quote Originally Posted by akiller View Post
    nice... very very nice...
    ap ki zuban aur bayan kafi khobsorat aur qabil-e-sataish ha
    Quote Originally Posted by dua butt View Post
    alllllaaa

    thankyou all
    jab tak koi comment na karey yaad ni ataa..
    thread bana kar hi bhool jati hoon..
    Alhamdullilah

  6. #6
    Join Date
    Jul 2011
    Location
    Lahore-Pakistan
    Posts
    1,636
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    944 Thread(s)
    Rep Power
    21474851

    Default Re: BiCharne Se ZAAra Pehle

    Bohat Bohat Bohat Khoob
    Allah Karay Zor e Biyan Or Ziyaad
    sagar3 - BiCharne Se ZAAra Pehle

    جانےکیسا رشتہ ہےمیرا اسکیذاتکےساتھ
    وہذرا بھیخاموشہوتوسانس ٹھہرسی جاتی ہے




  7. #7
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Karachi,Pakistan
    Posts
    11,802
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    16 Thread(s)
    Rep Power
    21474862

    Default Re: BiCharne Se ZAAra Pehle

    Quote Originally Posted by ch0c0-her0 View Post
    Bohat Bohat Bohat Khoob
    Allah Karay Zor e Biyan Or Ziyaad
    thanks alot !!!
    Alhamdullilah

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •