Do ghari mayasser ho unka humsafer hona
Phir hamain gawara hai der bader hona.
Ek azabe-pahem hai aise daure-bahshet,
(bar-bar-abhishap) (khaufe daur)
Zindgi ke chahre pe apna chasme ter hona.
Ab to unke chahre pe bepanaha chehre hai,
Kya ajeeb naymet thi verna bekhaber hona.
Soch ke parindon ko ek panah dena hai,
Dhoop ki hakumet main zahen ka shajer hona.
Uske vasl ki saaet hum pe aaye to jana,
Kis ghari ko kehte hain khwab main baser hona.