Dil ki baat labon par laakar ab tak ham dukh sehte hain
ham ne suna tha is basti mein dil waale bhi rahte hain


Beet gayaa saavan ka mahiinaa mausam ne nazaren badli
lekin in pyasi aanhon mein ab tak aansuu behte hain


Ek hamein aawara kehna koi barra ilzaam nahin
duniyaa wale dil waalon ko aur bahut kuch kehte hain


jis ki Khaatir shahar bhi choraa jis ke liye badnaam hue
aaj wahii ham se begaane begaane se rahate hain

Wo jo abhii rahguzar se chaak-e-garebaan guzraa tha
us aavaara deewaane ko 'Jalib'-'Jalib' kahate hain