Na hi milne milaane ka silsilaa rakhnaa
kisi bhi satah pe koi na raabtaa rakhnaa


Madad ki tum se tavaqqo to khair kya hogi
Gariib-e-shahar-e-sitam hun mera pata rakhnaa


Marenge aur hamaare sivaa bhi tum pe bahut
ye jurm hai to phir is jurm ki sazaa rakhnaa


Naye safar pe ravaana hua hai az-sar-e-nau
jab aaunga to mera naam bhi nayaa rakhnaa


Hisaar-e-shauq uthanaa 'Zafar' zaruur magar
kisii taraf se nikalne ka raastaa rakhnaa