A Journey through Pakistan...a Survival Kit...by Lonely Planet
Ummid hai aap say ALLAH(SWT) kay fazlo-karam say khair-o-afiyat mein hon gey.
Yahan hum nay koi lambi baat cheet nahi kerni, balkay aap kay Urdu Adab kay zouq ka imtihan lena hai.
Asal mein aaj kal hamein Urdu Adab ka bhoot chimta hua hai, tou ise liyey hum jan'na chatay hein kuch achi dost kitaboon kay baray mein.
Tou agar aap nay bhi aisa koi shoq pal rakha hai tou aap ko khidmat ka moqa detey hein kay zara kuch nawazish ker dein.
Hamein Pakistan kay mashrqi ilaqa jaat, andronay Lahore, Karachi aur dosray baray sheron kay baray mein likhi gaye kitabbon kay mutaliq batayen.
Tou bas kerna yeh hai kay hamein achi achi Urdu kitabbon ki lists yahan deni hein.
Hamein intizar rahey ga.
Khush Rahiye.
ALLAH Nighebaan!
Last edited by Hidden words; 12-09-2012 at 02:57 AM.
A Journey through Pakistan...a Survival Kit...by Lonely Planet
one quartet of [1 of 4 wings]
The FIRST & ONLY School that i ever attended
Syedna Saifuddin Taahir High School
Aligarh Muslim University
ALIGARH, India
WalikumAssalam
main safar namay shoq se nahi parhti hon ...... leken agar Adab ki baat ki jaye tu yeh books meri fav hain
Raja Gidh ( Bano Qudsia)
Labbaik ( Mumtaz Mufti)
Talash ( Mumtaz Mufti)
Ali Poor Ka ILLi ( Mumtaz Mufti)
Zawia , 1 , 2 aur 3 (Ashfaq Ahmed)
Ishq Ka Aen ( Aleem Ul Haq Haqqi)
Zero Point ( Javaid CH)
Shahab Naama ( Qudrat Ullah Shahab)
Jazak ALLAH!
Bohat achi list hai Paras
Asal mein Safar Namay tou mein bhi nahi parti, lekin mein zara Pakistan kay sheron kay barey mein jan'na chahti hoon, tou ise liyey.
List bohat achi hai, apni Library mein zaroor shamil karoun gi.
Ishq Ka Aen & Shahab Naama tou mein parh chuki hoon, bay-shak dono behtreen kitaabein hein!
Naye Kitabon Ki Tafsel main dekh lian
shayd waha se bhi kuch help mil jaye