Results 1 to 3 of 3

Thread: self-decision

  1. #1
    Join Date
    Jan 2011
    Location
    nil
    Posts
    218
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default self-decision

    meri taraf se Salam sub ko ho

    meinay jab bhi zindgi mein faislay kiye vo sahi sabat nahi hoi....kaafi tu faislay aisay thay jo lenay kay denay parr gaye hain.... meray majority faislay galat sabat hotay hain.....

    agar dosto ko mashwara doon tu vo theek hotay hain aur dost meray faislon se yaa mashwaron se bahut faida lay letay hain.....

    agar apni zaat kay baray mein faislay karta hoon tu vo galat yaa ultay partay hain agar kisi aur ki zaat kayliye karon tu faislay bahut achay nikal aatay hain....


    kia aap kay faislay sahi kartay ho yaa galat....??

  2. #2
    Join Date
    Oct 2009
    Location
    Failed State
    Posts
    50,102
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    34 Thread(s)
    Rep Power
    21474902

    Default Re: self-decision

    w.salam

    sabse pehle to mai apke sawal aur poche gae andaz per apko appreciate krta hun,yaha boht se betuke aur be maqsad sawal poche jate hain GS mai (acc to me) , jinse ye se sawal laakh darja behtr hai.

    Allah ka bara karam hai aur is mamle mai boht lucky hun k jo faisle liy,hmesha sahi hoe..dosro k liy faise lene ki adat to nai hy lekin agr kbhi lia to Allhamduillah maalik ne sur khuru kia.. apne liy liye gae kuch faisle mje aj bhi confuse krte hain aur regret hota hy kahin na kahin, lekin phir apni current life.. iska maqsad dekhta hun to sare regrets , proud me badal jate hain k maine falaan faisla nahi lia hota to aj in muqam per nahi hota..

    and i believe, decisions kabhi ghlat nahi hote, unhe kia geya waqt sahi ya ghlat hota hai,
    Allah hmare liy behter hi krta hy kyon ke banane wale se behter kon jan skta hay ?
    her kisi mei her failsa lene ki salahiyat nahi hoti..jisme nahi hoti Allah unhe dosto se nawaz deta hay..jinmei hoti hay to Allah unhe aazmaish de deta hay jinpe wo poora uter saken.. so i believe maine kbhi koi faisla ghlat nhi lia.. na apne liy..na dosro k liy.. bcoz mai logo ke emotions ko nahi, unke future ko dekhta hun aur faisla agr krne par jae to unki himmat/courage k hissab se krta hon ta ke unhe ye na lage ke maine mushkil unke liy rakh chori.
    ik khyal b zeror rakhta hun jo shyed sahi faislon ki waja hai ke mera kia hoa faisla unhe na bhari lage.. na itna easy ke shhuba (doubt) hojae ke meri unke mamle mai interested hi nahi hun aur be dili se kuch bhi kehdia hay.

  3. #3
    Join Date
    Aug 2010
    Posts
    24,389
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: self-decision

    walekumasalam.....

    it sound really strange but yeah there is a possibility like your case..
    Allah tala farmate hain,, AAMAAL KA DAROMADAR NIYAT PE HOTA HA..
    like what you aim that has to be right, if every thing went wrong in your way dun afraid you will get your right destination...
    as far as you said that when u took decision for others they went successful, you should thanks Allah that he enables you to do so..

    you know when have to choose a way between the option's , it's upto us what we ll choose, coz there is also a theory of uncertainty that every possiblity does exist. so it upto us how we percive our chance.

    just pray Allah that he bless you and give you more sense to take your decision which prove to b right and be patient if any thing went wrong, coz Allah loves us more then any one ....

    inshaALLah every thing will be fine with you my friend..
    prays are with you

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •