Results 1 to 7 of 7

Thread: We , As Nation

Threaded View

Previous Post Previous Post   Next Post Next Post
  1. #1
    Join Date
    Oct 2009
    Location
    Failed State
    Posts
    50,102
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    34 Thread(s)
    Rep Power
    21474902

    present We , As Nation



    Aaj court ne Raymond Davis ko riha kardia. for me ye khaber expected thi bcoz mai ground reality janta hun yaha ki. Media se le kar politicians , aur maqtool ke ghar walo se le kar ane wali naslon tak..sabko khareeda geya..Bare bare daawe karne, aur khokli dhamkiyan, muzahire , aur sirf batin.. yehi hamari pehchan hai. ham, behaisiyat -e-qoam, sirf apne drawing room mai discussion aur media mai kehne ki had tak zinda hain, kisi jagha 5 behno ko ye keh kar mar dia jata hay ke ye character less then, kahin kisi 6 saal ki larki ka nikaah 40 saal ke mard se kardia jata hai, kabhi kisi aafia ko waha 80 saal ki saza hojati hay, kabhi namoos-e-risalat per 6 mahine baad react karke, 3 mahino mei ham khamosh hojate hain, aur khud ko jhooti tasalli dete hain ke jisne be.adbi ki wo jal kar margeya, jis artist ne sketch banaya wo aasmani bijli se halaak hogea...Education ka miyaar ye hai ke ministers kehte hain "degree to degree hai...chahe...." khud se jhot bolte hamin ik minute nahi lagte lekin zubaan par ab bhi wohi naara... " ham aik hain"

    Zehan mai sawal ye aaya ke kia hamare eeman ki keemat 18 karor aur amercian nationality hai ? ham kab tak sab kuch "Allah ka azzaab hai" , "Allah ham per reham kare" aur "kia hoga is qoam ka" keh kar chup hote rahinge ? kia hamara eeman sirf masjido ki had tak rehgea hai ? mujhe koi hairat nahi hui ke maqtool ke ghar wale paise le kar chup ho bethy, kyon ke hamare yaha kon nahi bikta ? awam se le kar hukmraan tak.. sabhi kahin na kahin bikey hoe hain. ik khudkush hamla awar aur is case mai konsa farq raha ? sirf itna ke khudkush hamla aawer mer jata hai aur yaha Raymond Davis hansta khelta chala gea.. waha bhi ghar walo ko paise milte hain aur yaha bhi mile.. mazhab aur qannon mai khhon baha le kar muaaf krne ki ijazat hai hai lekin munafiqat ki saza bhi to hay..ghadaari ki saza , jasoosi ki saza aur sabse berh kar.. sar-e-aam qatal ki saza.. aur phir ye to wo khoon tha jiske nisahan dikh gae.. jane aise kitne khoon karke devis aur is jeso ne apne daaman saaf karlie honge, mazhab mai "khoon ka badla khoon" bhi to hai , "ik insaan ka qatal sari insanyat ka qatal" bhi to hai ? ab mere wo molvi bhaai kaha hain ? jo television aur music k khilaaf fitwa dete hoe to nahi katraate, lekin aise maamle jo mulk aur qoam ki izzat aur pehchan k hote hain , unhe nahi nazer ate, Vote lene aur muzahire karne k liy to ye mulk "ISLAMI JAMHURIA PAKISTAN" hojata hai...lekin fatwa haq aur sach kehte hoe "Gunnahon ki saza mil rahi hai" zubaan se ada hote hain ?

    Iske Bawajood Leaders k liy kuch isliy nahi kahunga kyon ke mai boht strongly believe karta hun " jese awam wese hukmraan" ,as a nation ham zinda to aaj bhi hain, lekin aise hi jese nasheei nashha karke zinda rehta hai..

    Dosre mulkon per earth quake ajae , ya dosre illaqe mai koi toofaan,ajae to wo Allah ka azzab, aur apne illaqe mai zamen zara laraz jae to "Allah ki aazmaiesh" ?

    Mere hisaab se ham, hamari qoam, dohri zindagi jee rahe hain. munafiqat ki zindagi.. jaha apne liy to sab jaez hai lekin dosro ke liy her chez najaez.. Raymond Davis case mei bhi yehi kuch hoa hai. jo qoamin apni bahu betiyaan dosro ke hawale karke chup saadh le, apne Nabi per 6 mahine baad mehas sites ko "kuch mahine" k liy bann karne per iktafa karle, sar-e-aam do bhaiyon ke qaatil gomte houn, mulk ki leader ki shahadat per 3 din parcham to ser nigon rahe lekin 3 saal mai bhi uske qatil ko na pakra ja sake.. to aisi qoam sirf ik paigham de rahi hoti hai "Ham BIkte Hain, Qeemat Lagao"

    Tehreer se negativity ka anser numayan hota hai lekin mai apne surround mei negativity hi dekhta hun, apni qoam mai munafiqat dekhta hun isliye jhoot likh kar khud bhi inmai shamil nahi hona chahta.

    Phir bhi , un logo ke liy jo mujhse ittefaq nahi karte, unka dil na dhuke aur unki "NEEND" kharab na ho.. sirf itna kahunga k "SAB ACHA HAI"..

    Last edited by Killer; 16-03-2011 at 10:29 PM.

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •