Dhuup ke saath gaya saath nibhaane walaa
ab kahan aayegaa wo laut ke aane walaa
Ret par chhor gayaa naqsh hazaaron apne
kisi pagal kii tarah naqsh mitaane walaa
Sabz shaakhein kabhi aise to nahin chikhati hain
kaun aayaa hai parindon ko daraane walaa
Aariz-e-shaam ki surkhi ne kiya faash usey
pardaa-e-abr mein tha aag lagaane walaa
Safar-e-shab ka taqaazaa hai mere saath raho
dasht pur_haul hai tufaan hai aane walaa
Mujh ko darpardaa sunaataa raha qissaa apna
agale waqton ki hikaayaat sunaane walaa
Shabnami ghaas ghane phul larazati kiranein
kaun aayaa hai khazaaon ko lutaane walaa
Ab to aaraam karen sochati aankhein meri
raat ka aakhiri taaraa bhi hai jaane walaa