Din Dhal chuka tha aur parinda safar mein tha
sara lahu badan ka ravaan khisht-o-par mein tha
Had-e-ufaq pe shaam thi kheme mein muntazar
aansuu ka ik pahaar sa haeil nazar mein tha
Jaate kahaan k raat ki baahen thin mushta_iil
chhupte kahaan k saaraa jahaan apne ghar mein tha
Lo wo bhi narm ret ke teele mein dhal gaya
kal tak jo ek koh-e-giraan rah_guzar mein tha
Utraa tha wahshi chiriyon ka lashkar zamiin par
phir ik bhi narm paat na saare shahar mein tha
Pagal si ik sada kisi ujre makaan men thi
Khirakii mein ik chiraag bhari dopahar mein tha
Us ka badan tha Khuun kii hiddat se sholaa_fish
suuraj ka ik gulaab sa tisht-e-sahar mein tha