sambhala host ha jb se muqaddar sakht'tar nikla
para hai waasta jis se wohi teer-o-tabar nikla

sabaq deta raha jo umer bhar roshan khyali ka
usay jab pass se dekha to khud bhi tang nazar nikla

samaj kar zindigi jis se mohabat kar rahy thy hm
usey jab chuu k daikha to faqat khaki bashar nikla

mohabbat ka khumaar utra to saabit hua mOHSIN
jisey manzil samjhte thy wo be maqsad safar nikla