Ye adaa-e khud fariebi tou mizaaj hay humara
na qareeb tha kinara, na qareeb hay kinara
Na khata hay dostoon ki na qosoor hay tumhara
mujhe raah-e mohabbat main meri saadgi ne maara
Ghum-e zindagi bhi main nay ba.khushi kya gawara
na kisi sey iltaja ki na kabhi tumhain pukara
Jo safeena dobta hay tou bala sey doob jaye
merey na-khuda sey keh do mujhe bakhsh de Khudaara
Mujhe tum nay yaad rakha ye karam bhi kum nahi hay
sar-e raah mujh ko pocha ye kholoos hay tumhara
Na kabhi zubaan khuli hay na kabhi zubaan khuley gi
jo shikast hay muqadder tu shikast bhi gawara
Kabhi hum bhi chahtey they k milein kaheen saharey
magar ab dar rahey hain koi dey na dey sahara