Zaalim tha wo aur zulm ki aadat bhi bahut thi
majabuur thy ham us se muhabbat bhi bahut thi
Us buut ke sitam seh ke dikhaa hi diya ham ne
go apni tabiyat mein bagaawat bhi bahut thi
Waaqif hi na tha ramz-e-muhabbat se wo warnaa
dil ke liye thori si inaayat bhi bahut thi
Yun hi nahin mashur-e-zamana meraa qaatil
us shakhs ko is fan mein mahaarat bhi bahut thii
Kyaa daur-e-ghazal tha ke lahuu dil mein bahut tha
aur dil ko lahuu karne ki fursat bhi bahut thi
Har shaam sunaate thy hasiinon ko ghazal ham
jab maal bahut tha to sakhaawat bhi bahut thii
Bulawaa ke ham 'Ajiz' ko pashemaan bhi bahut hain
kyaa kijiye kambakht ki shoharat bhi bahut thi