Marne ka tere gham mai irrada bhi nahi hai
Hai Ishq magar itna ziaada bhi nahi hai
Hai yun ke ibaarat ki zuban aur hai koi
Kaghaz meri taqdeer ka saada bhi nahi hai
Kyon dekhte rehte hain sitaroon ki taraf ham
Jab un se mulaaqaat ka waada bhi nahi hai
Kyon uski taraf dekh kar paon nahi uth.te
Wo shakhs haseen itna ziaada bhi nahi hai
Kis mor pe le aya hai hamain Hijr-r-musalsal
Ta had.e.nigah wasl ka wada bhi nahi hai
Pather ki tarha sard hai kyon aankh kisi ki
"Amjad " jo bicharne ka irrada bhi nahi hai