Pather hai tere hath main ya koi phool hai
jab tu kabool hai tera sab kuch kabool hai
Phir tu ne de diya neya fasala mujhe
Ser per abhi to pichli masafat ki dhool hai
Tu dil pe boojh le ke mulaaqaat ko na aa
milna hai isterha to bicherna qabool hai
Tu yaar hai to itni kari guftagu na kar
tera usool hai to mera bhi usool hai
Lafzoon ki aabru ko na yun ganwao Adeem
jo manta nahi, usey kehna fazul hai