Jhoot Aik Aisi Beemar Hai Jo Insaan ko Deemak ki Tarhan Khaati Rehti Hai Aur USay Is Bat ka Ahsaas Bhi Nahi Hota, Is Beemari se Usi Waqt Chuthkara Paya Ja SAkta Hai Jab Insaan Khud Is Buraai ko Khatam Karne Par Amaada hu , Jhoot yaqenan kissi Mafaad k leye bula jata hai lehaza koshish kijeye k aap Sach se apna kaam nikal lain isi main Izzat hai ,aur waise bhi Quran Pak main hai k
"JHOTON PAR KHUDA KI LAANAT HAI"
lehaza insaan yeh soch le k agar Allah ki Laanat mujh par hai tu kya main kya dunyawi aur akhrovi hisaab se Musalman hun jab mera Rab hi naraz hai mujh se , Laanat ka matlb bata don , ( laanat kehte hain Allah ki Naimaton se Mehroom huna) ab insaan khud sochay k agar Allah ne Apni Rehmaton se hamay mehroom kar dya tu hamara kya thikana huga?
har insaan apni apni jaga yeh soch lay tu Muashray main Sudhar paida hu sakta hai , aur jahan tak asraat ki baat hai tu janab hu sakta hai k waqti faida logo ko huta hu leken akhrat main us ka kya anjam huga woh khud bekhabar hain!