Aab Deeda
MUhabbat ka doosra naam bardasht hi he
Yani wo baten jo koi or kry to aap ko bohat takleef deti hen
Whi agar mehboob kry to aap ko achi lagny lagti hen
Aap ko rahat pohanchany lagti hen, yehi Muhabbat ka wo jazba he jahan roohen mil k aik ho jati hen or waqt or Dunia peechy bohat peechy reh jati he, wesy bhi humen jab kisi se muhabbat ho to hmen ye jaan lena chahiye k hmen us ki zaat se muhabbat he ya sifaat se, agar to hmen us ki sifaat se Muhabbat he to jaan lijy k ye Muhabbat nehin he, or agar hmen us ki zaat se Muhabbat he to hmen usy us ki zaat ki sari khamion k sath usy apnana prta he, kiun wo b aik insan he koi frishta nehin or Khuda nen insan men ghalati ki khoo rakhi he ...
Muhabbat men agar hum in baton ka khayal kar len to bohat se masayel peda hony se pehly hi khatam ho jayen gy or Bardasht krny ya na krny ki nobat ehin aye gi.
akiller
mohabbat... me aaj tak is lafz ki wousaaton ko jaan nahi paya k har ehsaas aur jazba is lafz me kese na kese zam hojata ha.. is ek lafz k hazaaron pehlooun me se ek "bardasht" ka pehlo b ha...
sawal kuch youn ha k in yak-jaan jazbon me se ek ki ehmyat ko ubharna ha to shuruat is zameen pe moujood ek misaal se krte hian...
aagosh-e-mohabbat, maa... ek maa se zyada mohabbat kon kise kr skta ha... wo ek wajood k kuch na hone se ley kr kuch hone tk, har haal me bardasht krti ha.. wo apne bachey k na-ehalyat se ley kr adam-dilchaspi tak k har marhaley me us k wajood ko bardasth krti ha... ab is sey zyada bardasht ki kia ehamiyat ho skti ha, ye to insaan ki pedaish k waqt se hi us k rooh me apni jaga baanae bethi hoti ha... aur hota ye k gafil insaan waqt k sath sath is inmoool tohfey ko ganwata rehta ha...
rahi baat dosrey rishton ki to jo rishtey hame baney banaey mil jate hian to waqt guzaren k sath sath ek ham-ahangi peda hojati ha jo mohabbat me se bardasht k lafz ki turshi ko kam krti jati ha,, aur jo rishtey hum khud banate hian , un ki shuruaat mohabbat se nahi bardassht se hoti... ek dosrey ki samaj ko bardasht krna, ek dosrey k ikhtilafat ko bardasth krna, ek dosrey k nazery ko bardasth krna... phir isi tarah se agey chal kr jub mohabat aur bardasht ham-palla ho jaen to ek dosrey k galtion ko bardasht krna, ek dosrey k badley hue lehjon ko bardasht krna aur isi tareeqe ki har ounch neech ko bardasht karna kisi b rishtey ko paaya-e-takmeel tk ley janey k mutradif ha... phir ahista ahista ye bardasht ka dour khatam ho kr kamil mohabbat ka dour shuru hojata ha...
ye bardasht sirf insaano k lye kargar sabit hoi ha,,,, but'on or patharon pe kisi b kisam ki bardasht ka koi asar nahi hota....
aur kisi b rishtey me bardasht tab hi khatam hoti ha jab wahan aanaou ka tasadum hojae.. jo k kisi sorat hal nahi hota..
abhi achanak ek line yaad aai...shyd kisi ki bardasht se bahir nikal gai ho...
na-khuda hi mila na wisal-e-sanam.... na idher k rahy na udher k rahy ham...
~*Rano*~
well....jahan takah muhbbat main bardasht ki baat hai tu....muhbbat main insaan jo b dosre k liye kerta hai....ya kerwata hai....wo muhbbat main kerta hai...yeh nai sochta keh main ais k liye yeh ker raha main ais k liye bardasht ker raha hoon...khud ba khud sab hota jata hai....pasand na pasand ik dosre k hisaab se kaisay badal jati hai..pata b nai chalta....
or yaqeen jano....aisa kerna kahin b bura nai lagta...kahin b dukh nai hota keh....apni yeh cheez chor rahay hain....ya kch b aisa....
or main samhjti hoon keh....aisa kerna achi baat hai..apne mehboob k hisaab se khud ko badal lena...khud main bardasht peda kerni...aisa kernay se ap ka relation acha rehta hai or mazboot hota hai.....ager ap aisa sab soch ker karo gaye keh ap bardasht ker rahay ho...tu buht jeld ap thak jao gaye ...coz bardasht ki ik had hoti hai na jab wo haad nai rahi tu sab kch khatam phir....
ais liye muhbbat main sab kch khushi or muhbbat or mehboob k liye ker rahay hain..yeh soch ker karo...tu muhbbat din ba din barhti jati hai....trust me......
Younhi Bethay Bethay
Kahin Gum Ho jati hoon
Ab Main Akser
Main Nai Rehti
Tum Ho Jati Hoon....