Paras


Boht Kuch Bardasht karna parta hai Muhabbat main , aur yaqenan ahmiyat rkhta hai , leken mera zaat khayal hai k woh bardasht insaan k andar jama huti rehti hai aur phir banda aik dam hi phat parta hai , lehaza bardasht jahan tak kar saktay hain karain ,leken is ka asaan hal yeh hai k aap muhabbat karne walay ko bata dain k mujhe yeh cheez pasand nhi ,ya yeh mere mizaj se taluq nhi rakhti , kyon k bardasht insaan aik had tak hi kar sakta hai , aur phir yeh bhi hu sakta hai k aik shakhs mustaqil bardasht karta rahay leken phir aik point par aakar woh shakhs hi us k dil se utar jaye! taluq jahan mazboot huta hai bardasht karne se , wahan mere khayal se mustaqil bardasht insaan k rishtay main daraar bhi daal sakti hai!



naz

her rishtey main kuch na kuch bardasht karna parta hai..Mohabbat main tu khas...leken agar us Bardasht ko app MOhabbat ki nazar se dekhain...yeh sochey ke yeh chez mere Mehbob ko achi nahi lagti..kiya hua jo main yeh chez khud main se khatam kardon...agar is Bardasht ko alag tarike se sochne lag jaye or negative pehlon khatam krde..tu brdasht karne ka jo masla paida hota hai wo he paida na ho...jab kisi se MOhabbat ki jati hia tu uski achaye buriye sub app ki he hoti hia...agar us main koi buriye hai tu koshish yeh krne chhaye ke ap ki MOhabbat main itni taqat ho ke wo buriye ap ki MOhabbat se khatam hojaye or ap ke mehbob ko pata b na chaley k wo change horaha hai...MOhabbat main bht taqat hia wo sub kuch karwa deti hia...isliye mera man`na yeh hia ke bardasht lafz ko he zindagi se agar nikal diya jaye..tu kitna acha ho..sochaye agr hamain koi kahey ke " main tumhe itne ursey se brdsht karha hon/ karhe hon"kitna bura lagey ga na ...her wo lamha ko Mohabbat ka tha wo bhari hojaye ga..wo azab bun jaye ga...isliye aise nobat he na ane dene chahye...ke koi yeh kahe...!!!



dhanak


berdasht...........matlab sabar ager ikhtalaf e rai ho tou tuhamal say hr aik ka nazriya sunana or respect daitay huay osay manana.per yeh zroori nahi k os point of view ko dono maanain......
ager isay berdasht kaha gya hy tou bht zroori hy laikin ager berdasht say yeh matlab hy k ager koi din ko raat keh raha hy tou ap mohabbat ki waja say raat he kahain.....mere nazdeek tou yeh berdasht nahi
or mere khyaal main mostly relations main aik mehboob tou doosra mohabbat kernay wala hota hy or jo mohabbat kertay hain wo apni zaat khatm ker daitay hain or jab zaat he nahi aana he nahi apna wajood he nahi tou ikhtalaaf hota he nahi..............
phr berdasht ka is say koi talluq nahi.