Maa Kehti Thi !!
Meri Nannhi Si Guriya,
Aaj Baahar Na Nikal,
Kya Tujh Ko Maloom Nahi,
Aaj Sooraj Gerahan Hai,
Riwayat Kehti Hai,
Sooraj Gerahan Ho To,
Dekhne Se Aankhe'n Beenai Kho Deti Hain,
Chehre Murjha Jaate Hain,
In Pe Zardi Chaa Jati Hai,
Mehakte Tan-o-Mann Kumla Jate Hain,
Phool Orh Lete Hain Zard Ruto'n Ka Pairhan,
Bahaare'n Khizaa'n Mein Dhal Jati Hain,
Yaha'n Tak Ke Samandar Ke Bhanwar,
Aur Zamee'n Ke Madd-o-Jazar Bhi Badal Jate Hain,
Meri Guriya,
Tu Baahar Na Nikal,
Ke Teri Ghazali Aankho'n Aur Ropehle Chehre Ko,
Kahin Chaat Na Le Yeh Sooraj Gerahan,
Magar Aaj Maa Ko Bataye Kaun,
Uski Guriya Ko,
Jise Zard Kar Na Saka Sooraj Gerahan,
Usey Dass Gaya
Mohabbat Ka Chand Gerahan...!!