Results 1 to 6 of 6

Thread: "hawa seeti bajati he"

  1. #1
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    *In The Stars*
    Posts
    18,093
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    1271 Thread(s)
    Rep Power
    21474869

    snow "hawa seeti bajati he"

    Hay Too Ya Bohat Lambi Lakin Meri Fav Hay


    "HAWA SEETI BAJATI HE"

    Khizaan Ki Balkoni Say
    Hawa Seeti Bajati He

    Chalo Chalney Ka Waqt Aya

    Darakhtoon Say Hazaroon Khushk Pattey Toottey Hain
    Our Us Kay Sath Urhtey Hain

    Woh Shayed Khud Naheen Urhtey...?
    Qazaa Unko Urhati He
    Hawa Seeti Baajati He
    ..........To Yeh Urhtey Howey Pattey
    Gulestaan Kay Kissi Namehrbaan Gooshey Mein Torhi Dair Ko Ruktey Hain
    Peeli Ghaas Kay Us Ajnabi Sehraa Ko Taktey Hain
    Jo Un Kay .....Our Unkay Aashyaan Kay Darmeyaan, Phaila Howa He
    Our Jis Ki Had Naheen Milti
    Khizaan Us Ajnabi Sehra Ki Hadd-E-Mumkina Say
    Unki Janib Dekhti He
    Our Ik Fateh Ki Sorat Muskurati He
    Hawa Seeti Bajati He

    Hawa Seeti Bajati He To Yeh Ruktey Howey Pattey
    Kissi Anjaan Si Dehshat Kay Dar Say Kapkapatey Hain
    Larz Kar Sar Jhukatey Hain
    Gulestaan Kay Kissi Namehrbaan Gooshey Ki Pasti Say Unko Uthati He
    Hawa Unko Utha Kay Shehr Ki Bemuddasarkoon Pay Lati He

    Main In Pattoon Ko Jab Shehr Ki Sarhkoon Pe Bikhartey Dekhta Hoon
    Sochta Hoon_____!

    "Adhoorey Khwaab Ki Sorat Yeh Bekal Benawaa Pattey
    Jab Urhtey Hain To Apney Dil Mein Keya Keya Sochtey Hoon Gay?
    Safar Kay Zahm Ka Koch To Madawa Sochtey Hoon Gay?
    Main Apney Paoon Say Lipta Ik Muztarib Patta Uthata Hoon
    Our Us Say Pochhta Hoon____!"
    Meri Bateen Woh Sunta He Magar Kochh Bhi Naheen Kehta
    Bas Ik Zahmi Nigah Say Meri Janib Dekhta He
    Dukh Bhara Chehra Uthata He

    Achanak Waqt Rukta He
    Main Us Pattey Kay Chehrey Par Apna Aks Pata Hoon
    Kissi Anjaan Si Dehshat Kay Dar Say Kapkapata Hoon
    Meri Gardan Pe Jaisey Chhipkali Si Sarsarati He
    Fiza Mein Ajnabi Say Dard Ka Kuhra Ubharta He
    Nami Si Phail Jati He..Hawa Seeti Bajati He
    Khizaan Ki Balkoni Say
    Hawa Seeti Bajati He.......!





    Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
    Mein Le Kar Bhi,

    Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
    Behter Hai...!!


  2. #2
    Join Date
    Jan 2009
    Location
    MERI JANAT............
    Age
    34
    Posts
    17,214
    Mentioned
    6 Post(s)
    Tagged
    175 Thread(s)
    Rep Power
    21474869

    Default Re: "hawa seeti bajati he"

    nic3 hai
    نہ جانے ہم کہاں گم ہو چکے ہیں ....
    جو ممکن ہو -- تو ہم کو ڈهونڈ لاٶ ...

  3. #3
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    *In The Stars*
    Posts
    18,093
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    1271 Thread(s)
    Rep Power
    21474869

    Default Re: "hawa seeti bajati he"

    thank u




    Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
    Mein Le Kar Bhi,

    Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
    Behter Hai...!!


  4. #4
    Join Date
    Oct 2009
    Location
    Failed State
    Posts
    50,102
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    34 Thread(s)
    Rep Power
    21474902

    Default Re: "hawa seeti bajati he"

    zabardast /up
    poetry achi ho to uske lengthy hone se fark nahi parta

    keep sharing.

  5. #5
    Join Date
    Jul 2010
    Location
    Karachi....
    Posts
    31,280
    Mentioned
    41 Post(s)
    Tagged
    6917 Thread(s)
    Rep Power
    21474882

    Default Re: "hawa seeti bajati he"

    bht beautiful hai
    hawa b seeti bajati hai mughy nahi ati


    Ik Muhabbat ko amar karna tha.....

    to ye socha k ..... ab bichar jaye..!!!!


  6. #6
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    *In The Stars*
    Posts
    18,093
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    1271 Thread(s)
    Rep Power
    21474869

    Default Re: "hawa seeti bajati he"

    thank u killer
    thank u sani mijhay ati hay




    Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
    Mein Le Kar Bhi,

    Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
    Behter Hai...!!


Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •